roz-e-mahshar surkH-ru hone ka arman chahiye
roz-e-mahshar surkH-rū hone kā armāñ chāhiye
dil meñ josh-e-ulfat-e-shāh-e-shahīdāñ chāhiye
juzv-e-īmāñ hai mohabbat ahl-e-bait-e-pāk kī
dil meñ paiham ḳhvāhish-e-takmīl-e-īmāñ chāhiye
sarfarosh-e-karbalā kī pairvī hai farz-e-ain
ittibā-e’-millat-e-mahbūb-e-yazdāñ chāhiye
ḳhud-baḳhud ho jaatī hai āsāñ har mushkil 'shakīl'
haañ magar lutf-e-mohammad fazl-e-rahmāñ chāhiye
roz-e-mahshar surkH-ru hone ka arman chahiye
dil mein josh-e-ulfat-e-shah-e-shahidan chahiye
juzw-e-iman hai mohabbat ahl-e-bait-e-pak ki
dil mein paiham KHwahish-e-takmil-e-iman chahiye
sarfarosh-e-karbala ki pairwi hai farz-e-ain
ittiba-e’-millat-e-mahbub-e-yazdan chahiye
KHud-baKHud ho jati hai aasan har mushkil 'shakil'
han magar lutf-e-mohammad fazl-e-rahman chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.