dil dair-o-haram mein kahin na laga ye bhi na hua wo bhi na hua
dil dair-o-haram mein kahin na laga ye bhi na hua wo bhi na hua
Shakir Kanpuri
MORE BYShakir Kanpuri
dil dair-o-haram meñ kahīñ na lagā ye bhī na huā vo bhī na huā
na to but hī milā na ḳhudā hī milā ye bhī na huā vo bhī na huā
na shigāf-e-kafas se uḌ hī sakā na to aa.ī chaman se bād-e-sabā
sāmān-e-tasallī bhī na huā ye bhī na huā vo bhī na huā
duniyā hī milī na milā hameñ diin ga.ī donoñ jahāñ se jān-e-hazīñ
na idhar kā huā na udhar kā huā ye bhī na huā vo bhī na huā
na to ruḳh se tumhār naqāb uThā na tilism-e-hayā koī toḌ sakā
na qubūl huī kuchh merī du'ā ye bhī na huā vo bhī na huā
thā shauq idhar dīdār-talab vahāñ māne’-e-'arz-e-suḳhan thā adab
chup rah na sakā kuchh kah na sakā ye bhī na huā vo bhī na huā
bulbul kī ḳhush aa.ī gul ko sadā qumrī ke liye ḳhud sard thakā
aur tujh se to 'shākir' naġhma-sarā ye bhī na huā vo bhī na huā
dil dair-o-haram mein kahin na laga ye bhi na hua wo bhi na hua
na to but hi mila na KHuda hi mila ye bhi na hua wo bhi na hua
na shigaf-e-kafas se uD hi saka na to aai chaman se baad-e-saba
saman-e-tasalli bhi na hua ye bhi na hua wo bhi na hua
duniya hi mili na mila hamein din gai donon jahan se jaan-e-hazin
na idhar ka hua na udhar ka hua ye bhi na hua wo bhi na hua
na to ruKH se tumhaar naqab uTha na tilism-e-haya koi toD saka
na qubul hui kuchh meri du'a ye bhi na hua wo bhi na hua
tha shauq idhar didar-talab wahan mane’-e-'arz-e-suKHan tha adab
chup rah na saka kuchh kah na saka ye bhi na hua wo bhi na hua
bulbul ki KHush aai gul ko sada qumri ke liye KHud sard thaka
aur tujh se to 'shakir' naghma-sara ye bhi na hua wo bhi na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.