shauq har rañg raqīb-e-sar-o-sāmāñ niklā
shauq har rañg raqīb-e-sar-o-sāmāñ niklā
qais tasvīr ke parde meñ bhī uryāñ niklā
zaḳhm ne daad na dī tañgi-e-dil kī yā rab
tiir bhī sīna-e-bismil se par-afshāñ niklā
bū-e-gul nāla-e-dil dūd-e-charāġh-e-mahfil
jo tirī bazm se niklā so pareshāñ niklā
dil-e-hasrat-zada thā mā.ida-e-lazzat-e-dard
kaam yāroñ kā ba-qadr-e-lab-o-dandāñ niklā
thī nau-āmūz-e-fanā himmat-e-dushvār-pasand
saḳht mushkil hai ki ye kaam bhī āsāñ niklā
dil meñ phir girye ne ik shor uThāyā 'ġhālib'
aah jo qatra na niklā thā so tūfāñ niklā
kār-ḳhāne se junūñ ke bhī maiñ uryāñ niklā
merī qismat kā na ek-ādh garebāñ niklā
sāġhar-e-jalva-e-sarshār hai har zarra-e-ḳhāk
shauq-e-dīdār balā ā.ina-sāmāñ niklā
kuchh khaTaktā thā mire siine meñ lekin āḳhir
jis ko dil kahte the so tiir kā paikāñ niklā
kis qadar ḳhaak huā hai dil-e-majnūñ yā rab
naqsh-e-har-zarra suvaidā-e-bayābāñ niklā
shor-e-rusvā.i-e-dil dekh ki yak-nāla-e-shauq
laakh parde meñ chhupā par vahī uryāñ niklā
shoḳhī-e-rañg-e-hinā ḳhūn-e-vafā se kab tak
āḳhir ai ahd-shikan tū bhī pashemāñ niklā
jauhar-ījād-e-ḳhat-e-sabz hai ḳhud-bīnī-e-husn
jo na dekhā thā so ā.īne meñ pinhāñ niklā
maiñ bhī māzūr-e-junūñ huuñ 'asad' ai ḳhāna-ḳharāb
peshvā lene mujhe ghar se bayābāñ niklā
shauq har rañg raqīb-e-sar-o-sāmāñ niklā
qais taswīr ke parde meñ bhī uryāñ niklā
zaḳhm ne dad na dī tañgi-e-dil kī yā rab
tir bhī sīna-e-bismil se par-afshāñ niklā
bū-e-gul nāla-e-dil dūd-e-charāġh-e-mahfil
jo tirī bazm se niklā so pareshāñ niklā
dil-e-hasrat-zada thā māida-e-lazzat-e-dard
kaam yāroñ kā ba-qadr-e-lab-o-dandāñ niklā
thī nau-āmūz-e-fanā himmat-e-dushwār-pasand
saḳht mushkil hai ki ye kaam bhī āsāñ niklā
dil meñ phir girye ne ek shor uThāyā 'ġhālib'
aah jo qatra na niklā thā so tūfāñ niklā
kār-ḳhāne se junūñ ke bhī maiñ uryāñ niklā
merī qismat kā na ek-ādh garebāñ niklā
sāġhar-e-jalwa-e-sarshār hai har zarra-e-ḳhāk
shauq-e-dīdār balā āina-sāmāñ niklā
kuchh khaTaktā thā mere sine meñ lekin āḳhir
jis ko dil kahte the so tir kā paikāñ niklā
kis qadar ḳhak huā hai dil-e-majnūñ yā rab
naqsh-e-har-zarra suwaidā-e-bayābāñ niklā
shor-e-ruswāi-e-dil dekh ki yak-nāla-e-shauq
lakh parde meñ chhupā par wahī uryāñ niklā
shoḳhī-e-rañg-e-hinā ḳhūn-e-wafā se kab tak
āḳhir ai ahd-shikan tū bhī pashemāñ niklā
jauhar-ījād-e-ḳhat-e-sabz hai ḳhud-bīnī-e-husn
jo na dekhā thā so āīne meñ pinhāñ niklā
maiñ bhī māzūr-e-junūñ huñ 'asad' ai ḳhāna-ḳharāb
peshwā lene mujhe ghar se bayābāñ niklā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.