ho wasl ki shab ya shab-e-furqat nahin jati
ho vasl kī shab yā shab-e-furqat nahīñ jaatī
jaatī nahīñ be-tābī-e-ulfat nahīñ jaatī
mai-ḳhāne meñ aakar bhī vahī tauba kī talqīn
vaa.iz ye tirī va.az kī 'ādat nahīñ jaatī
yaañ gardish-e-sāġhar hai vahāñ gardish-e-daurāñ
aflāk kī rindoñ se raqābat nahīñ jaatī
har roz 'tabassum' hai tujhe hijr kā ronā
kambaḳht tirī shomi-e-qismat nahīñ jaatī
ho wasl ki shab ya shab-e-furqat nahin jati
jati nahin be-tabi-e-ulfat nahin jati
mai-KHane mein aakar bhi wahi tauba ki talqin
waiz ye teri waz ki 'adat nahin jati
yan gardish-e-saghar hai wahan gardish-e-dauran
aflak ki rindon se raqabat nahin jati
har roz 'tabassum' hai tujhe hijr ka rona
kambaKHt teri shomi-e-qismat nahin jati
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 104)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.