raat ubhri teri zulfon ki daraazi kya kya
Interesting Fact
ابوالقاسم لاہوتی کی فارسی غزل ’’با دلم دوش، سرِ زلفِ تو بازی می کرد‘‘ کا منظوم ترجمہ
raat ubhrī tirī zulfoñ kī darāzī kyā kyā
kHvāja-e-husn ne kī banda-navāzī kyā kyā
kabhī zanjīr kabhī maar kabhī phuul banī
zulf-e-ḳhamdār meñ thī sho.abada-bāzī kyā kyā
ḳhāl-e-ruḳhsār se maiñ zulf-e-rasā tak pahuñchā
dil-e-bad-mast ne kī dast-darāzī kyā kyā
hañs diyā maiñ rah-e-ulfat kī balā-ḳhezī par
'aql-e-’ayyār ne kī falsafa-sāzī kyā kyā
haram-e-shauq meñ ġham ko na huā baar nasīb
'ishq dikhlā gayā ālām-e-gudāzī kyā kyā
kaash us shab meñ bhī kuchh shān-e-darāzī hotī
tirī zulfoñ ne dikhā.ī thī darāzī kyā kyā
raat ubhri teri zulfon ki daraazi kya kya
kHwaja-e-husn ne ki banda-nawazi kya kya
kabhi zanjir kabhi mar kabhi phul bani
zulf-e-KHamdar mein thi shoabada-bazi kya kya
KHal-e-ruKHsar se main zulf-e-rasa tak pahuncha
dil-e-bad-mast ne ki dast-daraazi kya kya
hans diya main rah-e-ulfat ki bala-KHezi par
'aql-e-’ayyar ne ki falsafa-sazi kya kya
haram-e-shauq mein gham ko na hua bar nasib
'ishq dikhla gaya aalam-e-gudazi kya kya
kash us shab mein bhi kuchh shan-e-daraazi hoti
teri zulfon ne dikhai thi daraazi kya kya
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 394)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.