sune kaun qissa-e-dard-e-dil mera gham-gusar chala gaya
sune kaun qissa-e-dard-e-dil mera gham-gusar chala gaya
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
sune kaun qissa-e-dard-e-dil merā ġham-gusār chalā gayā
jise āshnāoñ kā paas thā vo vafā-shi’ār chalā gayā
vahī bazm hai vahī dhuum hai vahī 'āshiqoñ kā hujūm hai
hai kamī to bas mere chāñd kī jo tah-e-mazār chalā gayā
vo suḳhan-shanās vo dūr-bīñ vo gadā-navāz vo mah-jabīñ
vo hasīñ vo bahr-e-'ulūm-e-dīñ merā tājdār chalā gayā
kahāñ ab suḳhan meñ vo garmiyāñ ki nahīñ rahā koī qadr-dāñ
kahāñ ab vo shauq meñ mastiyāñ ki vo pur-vaqār chalā gayā
jise maiñ sunātā thā dard-e-dil vo jo pūchhtā thā ġham-e-darūñ
vo gadā-navāz bichhaḌ gayā vo 'atā-shi’ār chalā gayā
bahe kyuuñ 'nasīr' na ashk-e-ġham rahe kyuuñ na lab par mere fuġhāñ
hameñ be-qarār vo chhoḌkar sar-e-rāh-guzār chalā gayā
sune kaun qissa-e-dard-e-dil mera gham-gusar chala gaya
jise aashnaon ka pas tha wo wafa-shi’ar chala gaya
wahi bazm hai wahi dhum hai wahi 'ashiqon ka hujum hai
hai kami to bas mere chand ki jo tah-e-mazar chala gaya
wo suKHan-shanas wo dur-bin wo gada-nawaz wo mah-jabin
wo hasin wo bahr-e-'ulum-e-din mera tajdar chala gaya
kahan ab suKHan mein wo garmiyan ki nahin raha koi qadr-dan
kahan ab wo shauq mein mastiyan ki wo pur-waqar chala gaya
jise main sunata tha dard-e-dil wo jo puchhta tha gham-e-darun
wo gada-nawaz bichhaD gaya wo 'ata-shi’ar chala gaya
bahe kyun 'nasir' na ashk-e-gham rahe kyun na lab par mere fughan
hamein be-qarar wo chhoDkar sar-e-rah-guzar chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.