sunte hain ki mahshar mein phir jalwa-gari hogi
Interesting Fact
لکھنؤ کی مشہور گائیکہ رحیمن جان نے اس غزل پر اپنی آواز دی ہے جس کی خبر ’’ارمانِ وصل‘‘ نامی گلدستہ سے ملتی ہے۔
sunte haiñ ki mahshar meñ phir jalva-garī hogī
kyā shāḳh-e-tamannā phir ik baar harī hogī
aqsām sharāboñ ke mat pūchh pilā.e jā
maiḳhāne meñ tere to jo hogī kharī hogī
ik jaam ki piite hī hosh uḌne lage mere
ye mai to na thī saaqī shīshe meñ parī hogī
pī lī hai bahāne ko kuchh mere satāne ko
muñh se vo hī niklegī jo dil meñ bharī hogī
ik jāma-e-hastī ke sau taar hue 'bedam'
kyā koī siye us ko kyā baḳhiya-garī hogī
sunte hain ki mahshar mein phir jalwa-gari hogi
kya shaKH-e-tamanna phir ek bar hari hogi
aqsam sharabon ke mat puchh pilae ja
maiKHane mein tere to jo hogi khari hogi
ek jam ki pite hi hosh uDne lage mere
ye mai to na thi saqi shishe mein pari hogi
pi li hai bahane ko kuchh mere satane ko
munh se wo hi niklegi jo dil mein bhari hogi
ek jama-e-hasti ke sau tar hue 'bedam'
kya koi siye us ko kya baKHiya-gari hogi
- Book : Kulliyat-e-Bedam (Pg. 498)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.