surat mein mere pyare jo kuchh ki hai so tu hai
surat mein mere pyare jo kuchh ki hai so tu hai
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
sūrat meñ mere pyāre jo kuchh ki hai so tū hai
hai dil meñ ye hamāre jo kuchh ki hai so tū hai
hai 'ishq ne ye jalva ham ko tirā dikhāyā
hosh-o-ḳhirad sudhāre jo kuchh ki hai so tū hai
bachnā hai ghar meñ anhad ghaḌiyāl kī tarah se
shām-o-sahar sakāre jo kuchh ki hai so tū hai
ham ne rihā.ī paa.ī donoñ jahāñ se ai dil
ab haiñ tire sahāre jo kuchh ki hai so tū hai
parda uThā duī kā 'ḳhādim' ne tujh ko dekhā
ham to haiñ ek pyāre jo kuchh ki hai so tū hai
surat mein mere pyare jo kuchh ki hai so tu hai
hai dil mein ye hamare jo kuchh ki hai so tu hai
hai 'ishq ne ye jalwa hum ko tera dikhaya
hosh-o-KHirad sudhaare jo kuchh ki hai so tu hai
bachna hai ghar mein anhad ghaDiyal ki tarah se
sham-o-sahar sakare jo kuchh ki hai so tu hai
hum ne rihai pai donon jahan se ai dil
ab hain tere sahaare jo kuchh ki hai so tu hai
parda uTha dui ka 'KHadim' ne tujh ko dekha
hum to hain ek pyare jo kuchh ki hai so tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.