Sufinama

tū dost kasū kā bhī sitamgar na huā thā

Mirza Ghalib

tū dost kasū kā bhī sitamgar na huā thā

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    dost kasū bhī sitamgar na huā thā

    auroñ pe hai vo zulm ki mujh par na huā thā

    chhoḌā mah-e-naḳhshab tarah dast-e-qazā ne

    ḳhurshīd hunūz us ke barābar na huā thā

    taufīq ba-andāza-e-himmat hai azal se

    āñkhoñ meñ hai vo qatra ki gauhar na huā thā

    jab tak ki na dekhā thā qad-e-yār aalam

    maiñ mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na huā thā

    maiñ sāda-dil āzurdagi-e-yār se ḳhush huuñ

    ya.anī sabaq-e-shauq mukarrar na huā thā

    dariyā-e-ma.āsī tunuk-ābī se huā ḳhushk

    merā sar-e-dāman bhī abhī tar na huā thā

    jaarī thī 'asad' dāġh-e-jigar se mirī tahsīl

    ātish-kada jāgīr-e-samundar na huā thā

    dost kasū bhī sitamgar na huā thā

    auroñ pe hai wo zulm ki mujh par na huā thā

    chhoḌā mah-e-naḳhshab tarah dast-e-qazā ne

    ḳhurshīd hunūz us ke barābar na huā thā

    taufīq ba-andāza-e-himmat hai azal se

    āñkhoñ meñ hai wo qatra ki gauhar na huā thā

    jab tak ki na dekhā thā qad-e-yār aalam

    maiñ mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na huā thā

    maiñ sāda-dil āzurdagi-e-yār se ḳhush huñ

    yanī sabaq-e-shauq mukarrar na huā thā

    dariyā-e-maāsī tunuk-ābī se huā ḳhushk

    merā sar-e-dāman bhī abhī tar na huā thā

    jarī thī 'asad' dāġh-e-jigar se mirī tahsīl

    ātish-kada jāgīr-e-samundar na huā thā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now