zamāna terā mubtalā ho rahā hai
tujhe bhī ḳhabar hai ki kyā ho rahā hai
ye achchhī hayā hai ye achchhā hai parda
ki charchā terā jā-bajā ho rahā hai
rahe hoshiyārī ki nādān sun kar
hamīñ se hamārā gilā ho rahā hai
zarā khol kar aañkh dekho to 'tālib'
ḳhudā kī ḳhudā.ī meñ kyā ho rahā hai
zamana tera mubtala ho raha hai
tujhe bhi KHabar hai ki kya ho raha hai
ye achchhi haya hai ye achchha hai parda
ki charcha tera ja-baja ho raha hai
rahe hoshiyari ki nadan sun kar
hamin se hamara gila ho raha hai
zara khol kar aankh dekho to 'talib'
KHuda ki KHudai mein kya ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.