bu yahi gul hai yahi bulbul-e-nalan hai yahi
bū yahī gul hai yahī bulbul-e-nālāñ hai yahī
naḳhl-e-paivand yahī aur gulistāñ hai yahī
mauj-e-kulzum hai yahī koh-o-bayābāñ hai yahī
durr-e-yaktā hai yahī lā'l-e-badaḳhshāñ hai yahī
husn-e-lailā hai yahī ḳhvāb-e-zuleḳhā hai yahī
qais-e-dīvāna yahī yūsuf-e-zindāñ hai yahī
kis ko jāhil kahūñ kis ko kahūñ 'ālim
'aql-e-farzāna yahī tifl-e-dabistāñ hai yahī
tuur par jalve se jis ke hue muusā be-ḳhud
'āshiqo dekho vo rashk-e-mah-e-tābāñ hai yahī
bu yahi gul hai yahi bulbul-e-nalan hai yahi
naKHl-e-paiwand yahi aur gulistan hai yahi
mauj-e-kulzum hai yahi koh-o-bayaban hai yahi
durr-e-yakta hai yahi la'l-e-badaKHshan hai yahi
husn-e-laila hai yahi KHwab-e-zuleKHa hai yahi
qais-e-diwana yahi yusuf-e-zindan hai yahi
kis ko jahil kahun kis ko kahun 'alim
'aql-e-farzana yahi tifl-e-dabistan hai yahi
tur par jalwe se jis ke hue musa be-KHud
'ashiqo dekho wo rashk-e-mah-e-taban hai yahi
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 428)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.