tere darwaze pe chilman nahin dekhi jati
tere darvāze pe chilman nahīñ dekhī jaatī
jān-e-jāñ ham se ye uljhan nahīñ dekhī jaatī
ruḳh pe ye zulf kī uljhan nahīñ dekhī jaatī
phuul kī god meñ nāgin nahīñ dekhī jaatī
be-hijābāna milo ham se ye parda kaisā
band Dolī meñ suhāgan nahīñ dekhī jaatī
jaam meñ ho to nazar aa.e gulābī joḌā
ham se botal meñ ye dulhan nahīñ dekhī jaatī
ghar banā.eñ kisī sahrā meñ mohabbat ke liye
shahr vāloñ se ye jogan nahīñ dekhī jaatī
ham nazar-bāz haiñ dikhlā hameñ devī kā jamāl
mūrtī ham se barahman nahīñ dekhī jaatī
ai 'fanā' kah de havā se ye uḌā le jaa.e
ham se ye ḳhāk-e-nasheman nahīñ dekhī jaatī
tere darwaze pe chilman nahin dekhi jati
jaan-e-jaan hum se ye uljhan nahin dekhi jati
ruKH pe ye zulf ki uljhan nahin dekhi jati
phul ki god mein nagin nahin dekhi jati
be-hijabana milo hum se ye parda kaisa
band Doli mein suhagan nahin dekhi jati
jam mein ho to nazar aae gulabi joDa
hum se botal mein ye dulhan nahin dekhi jati
ghar banaen kisi sahra mein mohabbat ke liye
shahr walon se ye jogan nahin dekhi jati
hum nazar-baz hain dikhla hamein dewi ka jamal
murti hum se barahman nahin dekhi jati
ai 'fana' kah de hawa se ye uDa le jae
hum se ye KHak-e-nasheman nahin dekhi jati
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.