kahāñ ho tum chale aao mohabbat kā taqāza hai
ġham-e-duniyā se ghabrā kar tumheñ dil ne pukārā hai
tumhārī be-ruḳhī ik din hamārī jaan le legī
qasam tum ko zarā socho ki dastūr-e-vafā kyā hai
na jaane kis liye duniyā kī nazreñ phir ga.iiñ ham se
tumheñ dekhā tumheñ chāhā qusūr is ke sivā kyā hai
na hai faryād hoñToñ par na āñkhoñ meñ koī aañsū
zamāne se milā jo ġham use gītoñ meñ gaayā hai
kahan ho tum chale aao mohabbat ka taqaza hai
gham-e-duniya se ghabra kar tumhein dil ne pukara hai
tumhaari be-ruKHi ek din hamari jaan le legi
qasam tum ko zara socho ki dastur-e-wafa kya hai
na jaane kis liye duniya ki nazren phir gain hum se
tumhein dekha tumhein chaha qusur is ke siwa kya hai
na hai faryaad honTon par na aankhon mein koi aansu
zamane se mila jo gham use giton mein gaya hai
Videos
This video is playing from YouTube
Shahnaz Rahmatullah Begum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.