bas yahi soch ke pahron na raha hosh mujhe
bas yahi soch ke pahron na raha hosh mujhe
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
bas yahī soch ke pahroñ na rahā hosh mujhe
kar diyā ho na kahīñ tū ne farāmosh mujhe
terī āñkhoñ kā ye mai-ḳhāna salāmat saaqī
mast rakhtā hai tirā bāda-e-sar-josh mujhe
hichkiyāñ maut kī aane lagīñ ab to aa jā
aur kuchh der meñ shāyad na rahe hosh mujhe
kab kā rusvā mere a’amāl mujhe kar dete
merī qismat ki milā tujh-sā ḳhatā-posh mujhe
kis kī aahaT se ye soyā huā dil jaag uThā
kar diyā kis kī sadā ne hama-tan gosh mujhe
yaad karatā rahā tasbīh ke dānoñ pe jise
kar diyā hai usī zālim ne farāmosh mujhe
ek do jaam se nīyat mirī bhar jaatī thī
tirī āñkhoñ ne banāyā hai balā-nosh mujhe
jīte-jī mujh ko samajhte the jo ik bār-e-garāñ
qabr tak le ke ga.e vo bhī sar-e-dosh mujhe
mujh pe khulne nahīñ detā vo haqīqat merī
hajla-e-zāt meñ rakhtā hai vo rū-posh mujhe
sohbat-e-mai-kada yaad aa.egī sab ko barsoñ
naam le-le ke mirā ro.eñge mai-nosh mujhe
bū-e-gul māñgne aa.e mire hoñToñ se mahak
chūmne ko tire mil jaa.eñ jo pā-posh mujhe
zindagī ke ġham-o-ālām kā maarā thā maiñ
maañ kī āġhosh lagī qabr kī āġhosh mujhe
de bhī saktā huuñ 'nasīr' iiñT kā patthar se javāb
vo to rakhā hai mire zarf ne ḳhāmosh mujhe
bas yahi soch ke pahron na raha hosh mujhe
kar diya ho na kahin tu ne faramosh mujhe
teri aankhon ka ye mai-KHana salamat saqi
mast rakhta hai tera baada-e-sar-josh mujhe
hichkiyan maut ki aane lagin ab to aa ja
aur kuchh der mein shayad na rahe hosh mujhe
kab ka ruswa mere a’amal mujhe kar dete
meri qismat ki mila tujh-sa KHata-posh mujhe
kis ki aahaT se ye soya hua dil jag uTha
kar diya kis ki sada ne hama-tan gosh mujhe
yaad karata raha tasbih ke danon pe jise
kar diya hai usi zalim ne faramosh mujhe
ek do jam se niyat meri bhar jati thi
teri aankhon ne banaya hai bala-nosh mujhe
jite-ji mujh ko samajhte the jo ek bar-e-garan
qabr tak le ke gae wo bhi sar-e-dosh mujhe
mujh pe khulne nahin deta wo haqiqat meri
hajla-e-zat mein rakhta hai wo ru-posh mujhe
sohbat-e-mai-kada yaad aaegi sab ko barson
nam le-le ke mera roenge mai-nosh mujhe
bu-e-gul mangne aae mere honTon se mahak
chumne ko tere mil jaen jo pa-posh mujhe
zindagi ke gham-o-alam ka mara tha main
man ki aaghosh lagi qabr ki aaghosh mujhe
de bhi sakta hun 'nasir' inT ka patthar se jawab
wo to rakha hai mere zarf ne KHamosh mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.