dil jis ki mohabbat mein giraftar hai mera
dil jis ki mohabbat mein giraftar hai mera
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
dil jis kī mohabbat meñ giraftār hai merā
vo dushman-e-jānī o dil-āzār hai merā
kahtā hai ḳhabar-dār chhupānā mirī ulfat
āshiq se yahī qaul aur iqrār hai merā
kis tarah bhalā mujh se chhape dard-o-ġham is kā
ġhammāz to ye dīda-e-ḳhūñ-bār hai merā
kyuuñ kar na rakhūñ yaar ke milne kī tamannā
dil ārzū-e-vasl se nā-chār hai merā
kal dekh ke mujh ko vo lagā kahne kisī se
pahchāniyo is ko ye ḳharīdār hai merā
sūrat na dikhā.uñgā use apnī kisī din
kah do ye abas tishna-e-dīdār hai merā
kis tarah ba-īñ haal use yaar maiñ jānūñ
nādānī se ye vahm-o-pindār hai merā
kis tarah 'turāb' apnā kahauñ haal kisī se
jag meñ na koī yaar na ġham-ḳhvār hai merā
dil jis ki mohabbat mein giraftar hai mera
wo dushman-e-jaani o dil-azar hai mera
kahta hai KHabar-dar chhupana meri ulfat
aashiq se yahi qaul aur iqrar hai mera
kis tarah bhala mujh se chhape dard-o-gham is ka
ghammaz to ye dida-e-KHun-bar hai mera
kyun kar na rakhun yar ke milne ki tamannā
dil aarzu-e-wasl se na-chaar hai mera
kal dekh ke mujh ko wo laga kahne kisi se
pahchaniyo is ko ye KHaridar hai mera
surat na dikhaunga use apnī kisi din
kah do ye abas tishna-e-didar hai mera
kis tarah ba-in haal use yar main jaanun
nadani se ye wahm-o-pindar hai mera
kis tarah 'turab' apna kahaun haal kisi se
jag mein na koi yar na gham-KHwar hai mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.