milegi shaiKH ko jannat hamein dozaKH ’ata hoga
Interesting Fact
Once someone heard Mushfiq Khwaja، the first line of one of Hari Chand's compositions where 'Hell' was treated as masculine. Khawaja was asked whether 'Hell' was masculine or feminine? Well... it should be avoided in both the cases, he replied. After a brief pause he humorously remarked ' it's a feminine as people often have a longing for it despite knowing its dreadful effect'.
milegī shaiḳh ko jannat hameñ dozaḳh 'atā hogā
bas itnī baat hai jis ke liye mahshar bapā hogā
rahe do-do farishte saath ab insāf kyā hogā
kisī ne kuchh likhā hogā kisī ne kuchh likhā hogā
ba-roz-e-hashr hākim qādir-e-mutlaq ḳhudā hogā
farishtoñ ke likhe aur shaiḳh kī bātoñ se kyā hogā
tirī duniyā meñ sabr-o-shukr se ham ne basar kar lī
tirī duniyā se baḌh kar bhī tire dozaḳh meñ kyā hogā
sukūn-e-mustaqil dil be-tamannā shaiḳh kī sohbat
ye jannat hai to is jannat se dozaḳh kyā burā hogā
mire ash.ār par ḳhāmosh hai jiz-biz nahīñ hotā
ye vā'iz vā’izoñ meñ kuchh haqīqat-āshnā hogā
bharosa kis qadar hai tujh ko 'aḳhtar' us kī rahmat par
agar vo shaiḳh-sāhib kā ḳhudā niklā to kyā hogā
milegi shaiKH ko jannat hamein dozaKH 'ata hoga
bas itni baat hai jis ke liye mahshar bapa hoga
rahe do-do farishte sath ab insaf kya hoga
kisi ne kuchh likha hoga kisi ne kuchh likha hoga
ba-roz-e-hashr hakim qadir-e-mutlaq KHuda hoga
farishton ke likhe aur shaiKH ki baaton se kya hoga
teri duniya mein sabr-o-shukr se hum ne basar kar li
teri duniya se baDh kar bhi tere dozaKH mein kya hoga
sukun-e-mustaqil dil be-tamanna shaiKH ki sohbat
ye jannat hai to is jannat se dozaKH kya bura hoga
mere ashaar par KHamosh hai jiz-biz nahin hota
ye wa'iz wa’izon mein kuchh haqiqat-ashna hoga
bharosa kis qadar hai tujh ko 'aKHtar' us ki rahmat par
agar wo shaiKH-sahib ka KHuda nikla to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.