sanson ki mala par simrun nis-din pi ka nam
sāñsoñ kī maalā par simrūñ nis-din pī kā naam
apne man kī maiñ jānūñ aur pī ke man kī raam
prem ke rañg meñ aise Duubī ban gayā ek hī ruup
shyām kī maalā japte-japte aap banī maiñ shyām
añg-añg meñ rachī huī hai yuuñ mohan kī priit
ek aañkh vrindāvan merī duujī gokul dhaam
prem pyāla jab se piyā hai jī kā hai ye haal
añgāroñ par niiñd aa jaaye kāñToñ par ārām
pītam kā kuchh dosh nahīñ hai vo to haiñ nirdos
apne aap se bāteñ kar ke ho ga.ī maiñ badnām
jaag uThtī hai jab hirday meñ prem kī sachchī jot
is nagrī meñ ho jaatā hai pītam kā vishrām
jī ne jab se jaan liyā hai dukh bhī hai un kī den
paap samajh rakkhā hai maiñ ne lenā sukh kā naam
jīvan kā siñgār hai pirītam maañg kā hai sindūr
pirītam kī nazroñ se gir kar jiinā hai kis kaam
darshan jal kī pyāsī āñkheñ ro ro kar ga.iiñ suukh
añdhiyāroñ meñ Duub ga.e birhan ke sub.h-o-shām
sanson ki mala par simrun nis-din pi ka nam
apne man ki main jaanun aur pi ke man ki ram
prem ke rang mein aise Dubi ban gaya ek hi rup
shyam ki mala japte-japte aap bani main shyam
ang-ang mein rachi hui hai yun mohan ki prit
ek aankh wrindawan meri duji gokul dham
prem pyala jab se piya hai ji ka hai ye haal
angaron par nind aa jaye kanTon par aaram
pitam ka kuchh dosh nahin hai wo to hain nirdos
apne aap se baaten kar ke ho gai main badnam
jag uThti hai jab hirday mein prem ki sachchi jot
is nagri mein ho jata hai pitam ka wishram
ji ne jab se jaan liya hai dukh bhi hai un ki den
pap samajh rakkha hai main ne lena sukh ka nam
jiwan ka singar hai piritam mang ka hai sindur
piritam ki nazron se gir kar jina hai kis kaam
darshan jal ki pyasi aankhen ro ro kar gain sukh
andhiyaron mein Dub gae birhan ke subh-o-sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.