Font by Mehr Nastaliq Web

un ke andaz-e-karam un pe wo aana dil ka

Pir Naseeruddin Naseer

un ke andaz-e-karam un pe wo aana dil ka

Pir Naseeruddin Naseer

un ke andāz-e-karam un pe vo aanā dil

haaye vo vaqt vo bāteñ vo zamāna dil

na sunā us ne tavajjoh se fasānā dil

zindagī guzrī magar dard na jaanā dil

kuchh na.ī baat nahīñ husn pe aanā dil

mashġhala hai ye nihāyat purānā dil

vo mohabbat shurūāt vo be-thāh ḳhushī

dekh kar un ko vo phūle na samānā dil

dil lagī dil lagī ban ke miTā detī hai

rog dushman ko bhī yārab na lagānā dil

ek to mere muqaddar ko bigāḌā us ne

aur phir us pe ġhazab hans ke banānā dil

mere pahlū meñ nahīñ aap muTThī meñ nahīñ

be-Thikāne hai bahut din se Thikānā dil

vo bhī apne na hue dil bhī gayā hāthoñ se

aise aane se to behtar thā na aanā dil

ḳhuub haiñ aap bahut kHuub magar yaad rahe

zeb detā nahīñ aisoñ ko satāna dil

be-jhijak aa ke milo hans ke milāo āñkheñ

aao ham tum ko sikhāte haiñ milānā dil

naqsh-e-bar aab nahīñ vahm nahīñ ḳhvāb nahīñ

aap kyuuñ khel samajhte haiñ miTānā dil

hasrateñ ḳhaak huiiñ miT ga.e armāñ saare

luT gayā khūcha-e-jānāñ meñ ḳhazānā dil

le chalā hai mire pahlū se ba-sad shauq koī

ab to mumkin nahīñ lauT ke aanā dil

un mahfil meñ 'nasīr' un ke tabassum qasam

dekhte rah ga.e ham haath se jaanā dil

un ke andaz-e-karam un pe wo aana dil ka

haye wo waqt wo baaten wo zamana dil ka

na suna us ne tawajjoh se fasana dil ka

zindagi guzri magar dard na jaana dil ka

kuchh nai baat nahin husn pe aana dil ka

mashghala hai ye nihayat hi purana dil ka

wo mohabbat ki shuruat wo be-thah KHushi

dekh kar un ko wo phule na samana dil ka

dil lagi dil ki lagi ban ke miTa deti hai

rog dushman ko bhi yarab na lagana dil ka

ek to mere muqaddar ko bigaDa us ne

aur phir us pe ghazab hans ke banana dil ka

mere pahlu mein nahin aap ki muTThi mein nahin

be-Thikane hai bahut din se Thikana dil ka

wo bhi apne na hue dil bhi gaya hathon se

aise aane se to behtar tha na aana dil ka

KHub hain aap bahut kHub magar yaad rahe

zeb deta nahin aison ko satana dil ka

be-jhijak aa ke milo hans ke milao aankhen

aao hum tum ko sikhate hain milana dil ka

naqsh-e-bar aab nahin wahm nahin KHwab nahin

aap kyun khel samajhte hain miTana dil ka

hasraten KHak huin miT gae arman sare

luT gaya khucha-e-jaanan mein KHazana dil ka

le chala hai mere pahlu se ba-sad shauq koi

ab to mumkin nahin lauT ke aana dil ka

un ki mahfil mein 'nasir' un ke tabassum ki qasam

dekhte rah gae hum hath se jaana dil ka

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 701)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now