chhap tilak sab chhini
apnī chhavi banāy ke jo maiñ pī ke paas ga.ī
jab chhavi dekhī piihū kī to apnī bhuul ga.ī
chhāp tilak sab chhīnī re mose naināñ milāy ke
baat adham kah dīn.hīñ re mose naināñ milāy ke
bal-bal jā.ūñ maiñ tore rañg-rejvā
apnī sī rañg dīn.hīñ re mose naināñ milā.ai ke
prem-bhaTī kā madvā pilāy ke matvārī kar dīn.hīñ re
mose naināñ milāy ke
gorī gorī ba.iyāñ harī harī churiyāñ
ba.iyāñ pakar dhar līn.hīñ re mose naināñ milāy ke
'ḳhusrau' 'nijām' ke bal-bal ja.iye
mohe suhāgan kīn.hīñ re mose naināñ milāy ke
apni chhawi banay ke jo main pi ke pas gai
jab chhawi dekhi pihu ki to apni bhul gai
chhap tilak sab chhini re mose nainan milay ke
baat adham kah dinhin re mose nainan milay ke
bal-bal jaun main tore rang-rejwa
apni si rang dinhin re mose nainan milaai ke
prem-bhaTi ka madwa pilay ke matwari kar dinhin re
mose nainan milay ke
gori gori baiyan hari hari churiyan
baiyan pakar dhar linhin re mose nainan milay ke
'KHusrau' 'nijam' ke bal-bal jaiye
mohe suhagan kinhin re mose nainan milay ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.