Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dil hī to hai na sañg-o-ḳhisht dard se bhar na aae kyuñ

Mirza Ghalib

dil hī to hai na sañg-o-ḳhisht dard se bhar na aae kyuñ

Mirza Ghalib

dil to hai na sañg-o-ḳhisht dard se bhar na aa.e kyuuñ

ro.eñge ham hazār baar koī hameñ satā.e kyuuñ

dair nahīñ haram nahīñ dar nahīñ āstāñ nahīñ

baiThe haiñ rahguzar pe ham ġhair hameñ uThā.e kyuuñ

jab vo jamāl-e-dil-faroz sūrat-e-mehr-e-nīm-roz

aap ho nazzāra-soz parde meñ muñh chhupā.e kyuuñ

dashna-e-ġhamza jāñ-sitāñ nāvak-e-nāz be-panāh

terā aks-e-ruḳh sahī sāmne tere aa.e kyuuñ

qaid-e-hayāt o band-e-ġham asl meñ donoñ ek haiñ

maut se pahle aadmī ġham se najāt paa.e kyuuñ

husn aur us pe husn-e-zan rah ga.ī bul-havas sharm

apne pe e'timād hai ġhair ko āzmā.e kyuuñ

vaañ vo ġhurūr-e-izz-o-nāz yaañ ye hijāb-e-pās-e-vaza.a

raah meñ ham mileñ kahāñ bazm meñ vo bulā.e kyuuñ

haañ vo nahīñ ḳhudā-parast jaao vo bevafā sahī

jis ko ho diin o dil aziiz us galī meñ jaa.e kyuuñ

'ġhālib'-e-ḳhasta ke baġhair kaun se kaam band haiñ

roiye zaar zaar kyā kījiye haa.e haa.e kyuuñ

dil to hai na sañg-o-ḳhisht dard se bhar na aae kyuñ

roeñge hum hazār bar koī hameñ satāe kyuñ

dair nahīñ haram nahīñ dar nahīñ āstāñ nahīñ

baiThe haiñ rahguzar pe hum ġhair hameñ uThāe kyuñ

jab wo jamāl-e-dil-faroz sūrat-e-mehr-e-nīm-roz

aap ho nazzāra-soz parde meñ muñh chhupāe kyuñ

dashna-e-ġhamza jāñ-sitāñ nāwak-e-nāz be-panāh

terā aks-e-ruḳh sahī sāmne tere aae kyuñ

qaid-e-hayāt o band-e-ġham asl meñ donoñ ek haiñ

maut se pahle aadmī ġham se najāt pae kyuñ

husn aur us pe husn-e-zan rah gaī bul-hawas sharm

apne pe e'timād hai ġhair ko āzmāe kyuñ

wañ wo ġhurūr-e-izz-o-nāz yañ ye hijāb-e-pās-e-waza

rah meñ hum mileñ kahāñ bazm meñ wo bulāe kyuñ

hañ wo nahīñ ḳhudā-parast jao wo bewafā sahī

jis ko ho din o dil aziz us galī meñ jae kyuñ

'ġhālib'-e-ḳhasta ke baġhair kaun se kaam band haiñ

roiye zar zar kyā kījiye hae hae kyuñ

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Abida Parveen

Abida Parveen

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now