Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kal chaudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera

Ibn-e-Insha

kal chaudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera

Ibn-e-Insha

kal chaudhvīñ raat thī shab bhar rahā charchā tirā

kuchh ne kahā ye chāñd hai kuchh ne kahā chehrā tirā

ham bhī vahīñ maujūd the ham se bhī sab pūchhā kiye

ham hañs diye ham chup rahe manzūr thā parda tirā

is shahr meñ kis se mileñ ham se to chhūTīñ mahfileñ

har shaḳhs terā naam le har shaḳhs dīvānā tirā

kūche ko tere chhoḌ kar jogī ban jaa.eñ magar

jañgal tire parbat tire bastī tirī sahrā tirā

ham aur rasm-e-bandagī āshuftagī uftādgī

ehsān hai kyā kyā tirā ai husn-e-be-parvā tirā

do ashk jaane kis liye palkoñ pe aa kar Tik ga.e

altāf bārish tirī ikrām dariyā tirā

ai be-dareġh o be-amāñ ham ne kabhī hai fuġhāñ

ham ko tirī vahshat sahī ham ko sahī saudā tirā

ham par ye saḳhtī nazar ham haiñ faqīr-e-rehguzar

rasta kabhī rokā tirā dāman kabhī thāmā tirā

haañ haañ tirī sūrat hasīñ lekin aisā bhī nahīñ

ik shaḳhs ke ash.ār se shohra huā kyā kyā tirā

bedard sunñī ho to chal kahtā hai kyā achchhī ġhazal

āshiq tirā rusvā tirā shā.ir tirā 'inshā' tirā

kal chaudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera

kuchh ne kaha ye chand hai kuchh ne kaha chehra tera

hum bhi wahin maujud the hum se bhi sab puchha kiye

hum hans diye hum chup rahe manzur tha parda tera

is shahr mein kis se milen hum se to chhuTin mahfilen

har shaKHs tera nam le har shaKHs diwana tera

kuche ko tere chhoD kar jogi hi ban jaen magar

jangal tere parbat tere basti teri sahra tera

hum aur rasm-e-bandagi aashuftagi uftadgi

ehsan hai kya kya tera ai husn-e-be-parwa tera

do ashk jaane kis liye palkon pe aa kar Tik gae

altaf ki barish teri ikram ka dariya tera

ai be-daregh o be-aman hum ne kabhi ki hai fughan

hum ko teri wahshat sahi hum ko sahi sauda tera

hum par ye saKHti ki nazar hum hain faqir-e-rehguzar

rasta kabhi roka tera daman kabhi thama tera

han han teri surat hasin lekin tu aisa bhi nahin

ek shaKHs ke ashaar se shohra hua kya kya tera

bedard sunni ho to chal kahta hai kya achchhi ghazal

aashiq tera ruswa tera shair tera 'insha' tera

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Abida Parveen

Abida Parveen

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now