sarapa husn bhi tum ho sarapa ishq bhi tum ho
sarāpā husn bhī tum ho sarāpā ishq bhī tum ho
ye apnī zindagī tum ho ke merī zindagī tum ho
tumhārā husn-e-kāmil har kamī se paak hai lekin
mohabbat laakh kāmil kyuuñ na ho us kī kamī tum ho
yahī do zāviye fikr-o-nazar ke haiñ mohabbat meñ
kabhī tum ho vahī maiñ huuñ kabhī maiñ huuñ vahī tum ho
mubārak tum ko shān-e-be-niyāzī ai buto lekin
tumhīñ nāz-e-mohabbat ho ġhurūr-e-bandagī tum ho
ba-faiz-e-but-parastī tum 'zahīn' allāh vaale ho
ḳhudā yaad aa.e jis ko dekh kar vo aadmī tum ho
sarapa husn bhi tum ho sarapa ishq bhi tum ho
ye apni zindagi tum ho ke meri zindagi tum ho
tumhaara husn-e-kaamil har kami se pak hai lekin
mohabbat lakh kaamil kyun na ho us ki kami tum ho
yahi do zawiye fikr-o-nazar ke hain mohabbat mein
kabhi tum ho wahi main hun kabhi main hun wahi tum ho
mubarak tum ko shan-e-be-niyazi ai buto lekin
tumhin naz-e-mohabbat ho ghurur-e-bandagi tum ho
ba-faiz-e-but-parasti tum 'zahin' allah wale ho
KHuda yaad aae jis ko dekh kar wo aadmi tum ho
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 150)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.