are logo tumhaara kya main jaanun mera KHuda jaane
are logo tumhārā kyā maiñ jānūñ merā ḳhudā jaane
jo zar māñgo to be-zar huuñ
jo sar māñgo to hāzir huuñ
mukh moḌūñ to kāfir huuñ
chaḌhā mansūr suulī par jo vāqif thā vahī dilbar
are mullāñ janāza paḌh maiñ jānūñ merā ḳhudā jaane
tum hī dilbar ho sarvar kā tum hī ho pyārā haidar kā
pilāo jaam kausar kā maiñ jānūñ merā ḳhudā jaane
vahī ehsān mujh par kar āmīrul-mu.minīñ haidar
bhulle kā savāl puurā kar maiñ jānūñ merā ḳhudā jaane
are logo tumhaara kya main jaanun mera KHuda jaane
jo zar mango to be-zar hun
jo sar mango to hazir hun
mukh moDun to kafir hun
chaDha mansur suli par jo waqif tha wahi dilbar
are mullan janaza paDh main jaanun mera KHuda jaane
tum hi dilbar ho sarwar ka tum hi ho pyara haidar ka
pilao jam kausar ka main jaanun mera KHuda jaane
wahi ehsan mujh par kar aamirul-muminin haidar
bhulle ka sawal pura kar main jaanun mera KHuda jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.