yā rahīm yā karīm
terī yaad meñ diloñ kā chain hai
tū ġhafūr tū rahīm
mushkiloñ meñ ghirā bhiiḌ meñ huuñ tanhā
mu'āf kar de ai ḳhudā mujh ko terā aasrā
fariyād karūñ tere dar pe maulā
tere dar pe huuñ khaḌā be-navā be-āsrā
sun le merī iltijā tujh ko maulā vāsta
vāsta tujh ko mohammad aur un kī aal kā
tū hī darmāñ mere dil kā aur mere haal kā
ki terī yaad yaad yaad maiñ karūñ
fariyād ki terī yaad yaad yaad maiñ karūñ
fariyād na daanā hai koī tere baa'd maiñ karūñ
itnā mujh ko de diyā terā maulā shukriya
sun lī merī iltijā aur chāhūñ tujh se kyā
’ālimoñ pe nuur terā jalva-gar jalva-numā
mo'jiza hai zaat terī aur tū mo'jiz-numā
maiñ shukr karūñ terī rahmatoñ kā
maiñ zikr karūñ terī ne’amatoñ kā
maulā maulā maulā maulā
us kī mukh dikhlā.e hai jin se us kī hai priit
un ko hī miltā hai jo haiñ us ke miit
maulā maulā maulā maulā
rañg de rañg de maulā rañg de rañg de maulā
rañg de rañg de maulā rañg de rañg de maulā
ya rahim ya karim
teri yaad mein dilon ka chain hai
tu ghafur tu rahim
mushkilon mein ghira bhiD mein hun tanha
mu'af kar de ai KHuda mujh ko tera aasra
fariyaad karun tere dar pe maula
tere dar pe hun khaDa be-nawa be-asra
sun le meri iltija tujh ko maula wasta
wasta tujh ko mohammad aur un ki aal ka
tu hi darman mere dil ka aur mere haal ka
ki teri yaad yaad yaad main karun
fariyaad ki teri yaad yaad yaad main karun
fariyaad na dana hai koi tere ba'd main karun
itna mujh ko de diya tera maula shukriya
sun li meri iltija aur chahun tujh se kya
’alimon pe nur tera jalwa-gar jalwa-numa
mo'jiza hai zat teri aur tu mo'jiz-numa
main shukr karun teri rahmaton ka
main zikr karun teri ne’amaton ka
maula maula maula maula
us ki mukh dikhlae hai jin se us ki hai prit
un ko hi milta hai jo hain us ke mit
maula maula maula maula
rang de rang de maula rang de rang de maula
rang de rang de maula rang de rang de maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.