tujhī ko jo yañ jalwa-farmā na dekhā
tujhī ko jo yaañ jalva-farmā na dekhā
barābar hai duniyā ko dekhā na dekhā
mirā ġhuncha-e-dil hai vo dil girafta
ki jis ko kisū ne kabhū vā na dekhā
yagāna hai tū aah begānagī meñ
koī dūsrā aur aisā na dekhā
aziyyat musībat malāmat balā.eñ
tire ishq meñ ham ne kyā kyā na dekhā
kiyā muj ko dāġhoñ ne sarv-e-charāġhāñ
kabhū tū ne aa kar tamāshā na dekhā
taġhāful ne tere ye kuchh din dikhā.e
idhar tū ne lekin na dekhā na dekhā
hijāb-e-ruḳh-e-yār the aap hī ham
khulī aañkh jab koī pardā na dekhā
shab o roz ai 'dard' dar pe huuñ us ke
kisū ne jise yaañ na samjhā na dekhā
tujhī ko jo yañ jalwa-farmā na dekhā
barābar hai duniyā ko dekhā na dekhā
mirā ġhuncha-e-dil hai wo dil girafta
ki jis ko kisū ne kabhū wā na dekhā
yagāna hai tū aah begānagī meñ
koī dūsrā aur aisā na dekhā
aziyyat musībat malāmat balāeñ
tere ishq meñ hum ne kyā kyā na dekhā
kiyā muj ko dāġhoñ ne sarw-e-charāġhāñ
kabhū tū ne aa kar tamāshā na dekhā
taġhāful ne tere ye kuchh din dikhāe
idhar tū ne lekin na dekhā na dekhā
hijāb-e-ruḳh-e-yār the aap hī hum
khulī aañkh jab koī pardā na dekhā
shab o roz ai 'dard' dar pe huñ us ke
kisū ne jise yañ na samjhā na dekhā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.