Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Tuk sath ho hasrat dil-e-marhum se nikle

Mirza Muhammad Ali Fidvi

Tuk sath ho hasrat dil-e-marhum se nikle

Mirza Muhammad Ali Fidvi

MORE BYMirza Muhammad Ali Fidvi

    Tuk saath ho hasrat dil-e-marhūm se nikle

    'āshiq janāza hai zarā dhuum se nikle

    qurbān-e-fanā ek tajallī-e-terī hue

    zulmat-kada-e-hastī-e-mauhūm se nikle

    kūche meñ ga.e the mutavaqqe’ tire jo ho

    muñh Daale garebān meñ mahrūm se nikle

    o dushman-e-insāf ḳhushī kaun tum ko

    ġham bin tire kyuuñ kar dil-e-maġhmūm se nikle

    kyuuñ nau-ḳhatoñ kHār-e-qalam lau meñ hai 'fidvī'

    kyā shahr yahī hai kaho mazlūm se nikle

    Tuk sath ho hasrat dil-e-marhum se nikle

    'ashiq ka janaza hai zara dhum se nikle

    qurban-e-fana ek tajalli-e-teri hue

    zulmat-kada-e-hasti-e-mauhum se nikle

    kuche mein gae the mutawaqqe’ tere jo ho

    munh Dale gareban mein mahrum se nikle

    o dushman-e-insaf KHushi kaun si tum ko

    gham bin tere kyun kar dil-e-maghmum se nikle

    kyun nau-KHaton ki kHar-e-qalam lau mein hai 'fidwi'

    kya shahr yahi hai kaho mazlum se nikle

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now