tum jaano tumko ġhair se jo rasm-o-rāh ho
tum jaano tum ko ġhair se jo rasm-o-rāh ho
mujh ko bhī pūchhte raho to kyā gunāh ho
bachte nahīñ muvāḳhaza-e-roz-e-hashr se
qātil agar raqīb hai to tum gavāh ho
kyā vo bhī be-gunah-kush o haq-nā-shanās haiñ
maanā ki tum bashar nahīñ ḳhurshīd o maah ho
ubhrā huā naqāb meñ hai un ke ek taar
martā huuñ maiñ ki ye na kisī kī nigāh ho
jab mai-kada chhuTā to phir ab kyā jagah kī qaid
masjid ho madrasa ho koī ḳhānqāh ho
sunte haiñ jo bahisht kī tārīf sab durust
lekin ḳhudā kare vo tirā jalva-gāh ho
'ġhālib' bhī gar na ho to kuchh aisā zarar nahīñ
duniyā ho yā rab aur mirā bādshāh ho
tum jaano tum ko ġhair se jo rasm-o-rāh ho
mujh ko bhī pūchhte raho to kyā gunāh ho
bachte nahīñ muwāḳhaza-e-roz-e-hashr se
qātil agar raqīb hai to tum gawāh ho
kyā wo bhī be-gunah-kush o haq-nā-shanās haiñ
manā ki tum bashar nahīñ ḳhurshīd o mah ho
ubhrā huā naqāb meñ hai un ke ek tar
martā huñ maiñ ki ye na kisī kī nigāh ho
jab mai-kada chhuTā to phir ab kyā jagah kī qaid
masjid ho madrasa ho koī ḳhānqāh ho
sunte haiñ jo bahisht kī tārīf sab durust
lekin ḳhudā kare wo tirā jalwa-gāh ho
'ġhālib' bhī gar na ho to kuchh aisā zarar nahīñ
duniyā ho yā rab aur mirā bādshāh ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.