tum jis dard ke darman ho us dard ki qismat kya kahna
tum jis dard ke darman ho us dard ki qismat kya kahna
Zaheen Shah Taji
MORE BYZaheen Shah Taji
tum jis dard ke darmāñ ho us dard kī qismat kyā kahnā
tum taqdīr-e-mohabbat ho taqdīr-e-mohabbat kyā kahnā
'ishq kī sūrat meñ muzmar hai husn-e-haqīqat kyā kahnā
maiñ goyā terī mahfil huuñ tū merī ḳhalvat kyā kahnā
dīvāna-e-husn kabhī thā maiñ ab husn hai merā dīvāna
ai jazb-e-'ishq ta'ālallāh tāsīr-e-mohabbat kyā kahnā
aa mujh se mujh ko le bhī le bā-ḳhud huuñ tū be-ḳhud kar de
maiñ terī mastī ke sadqe mastī kī hasrat kyā kahnā
un mīThī-mīThī nazroñ se jaañ pyārī-pyārī bātoñ se
be-dard ne dard bhī chhīn liyā ab dil kī hālat kyā kahnā
vo terā 'zahīn' vo dīvāna vo riñd ḳharāb-e-mai-ḳhāna
har raaz hai us kā afsāna ab us kī hālat kyā kahnā
tum jis dard ke darman ho us dard ki qismat kya kahna
tum taqdir-e-mohabbat ho taqdir-e-mohabbat kya kahna
'ishq ki surat mein muzmar hai husn-e-haqiqat kya kahna
main goya teri mahfil hun tu meri KHalwat kya kahna
diwana-e-husn kabhi tha main ab husn hai mera diwana
ai jazb-e-'ishq ta'alallah tasir-e-mohabbat kya kahna
aa mujh se mujh ko le bhi le ba-KHud hun tu be-KHud kar de
main teri masti ke sadqe masti ki hasrat kya kahna
un miThi-miThi nazron se jaan pyari-pyari baaton se
be-dard ne dard bhi chhin liya ab dil ki haalat kya kahna
wo tera 'zahin' wo diwana wo rind KHarab-e-mai-KHana
har raaz hai us ka afsana ab us ki haalat kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.