tumhārī anjuman se uTh ke dīwāne kahāñ jate
tumhārī anjuman se uTh ke dīvāne kahāñ jaate
jo vābasta hue tum se vo afsāne kahāñ jaate
nikal kar dair-o-ka.aba se agar miltā na mai-ḳhāna
to Thukrā.e hue insāñ ḳhudā jaane kahāñ jaate
tumhārī be-ruḳhī ne laaj rakh lī bāda-ḳhāne kī
tum āñkhoñ se pilā dete to paimāne kahāñ jaate
chalo achchhā huā kaam aa ga.ī dīvāngī apnī
vagarna ham zamāne bhar ko samjhāne kahāñ jaate
'qatīl' apnā muqaddar ġham se begāna agar hotā
to phir apne parā.e ham se pahchāne kahāñ jaate
tumhārī anjuman se uTh ke dīwāne kahāñ jate
jo wābasta hue tum se wo afsāne kahāñ jate
nikal kar dair-o-kaba se agar miltā na mai-ḳhāna
to Thukrāe hue insāñ ḳhudā jaane kahāñ jate
tumhārī be-ruḳhī ne laj rakh lī bāda-ḳhāne kī
tum āñkhoñ se pilā dete to paimāne kahāñ jate
chalo achchhā huā kaam aa gaī dīwāngī apnī
wagarna hum zamāne bhar ko samjhāne kahāñ jate
'qatīl' apnā muqaddar ġham se begāna agar hotā
to phir apne parāe hum se pahchāne kahāñ jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.