Font by Mehr Nastaliq Web

tumhein dil-lagi bhul jaani paDegi mohabbat ki rahon mein aa kar to dekho

Purnam Allahabadi

tumhein dil-lagi bhul jaani paDegi mohabbat ki rahon mein aa kar to dekho

Purnam Allahabadi

tumheñ dil-lagī bhuul jaanī paḌegī mohabbat rāhoñ meñ aa kar to dekho

taḌapne se mere na phir tum hañsoge kabhī dil kisī se lagā kar to dekho

vafāoñ ham se tavaqqo' nahīñ hai magar ek baar aazmā kar to dekho

zamāne ko apnā banā kar to dekhā hameñ bhī tum apnā banā kar to dekho

ḳhudā ke liye chhoḌ do ab ye parda ki haiñ aaj ham-tum nahīñ ġhair koī

shab-e-vasl bhī hai hijāb is qadar kyuuñ zarā ruḳh se āñchal uThā kar to dekho

jafā.eñ bahut kiiñ bahut zulm Dhaa.e kabhī ik nigāh-e-karam is taraf bhī

hamesha hue dekh kar mujh ko barham kisī din zarā muskurā kar to dekho

jo ulfat meñ har ik sitam hai gavārā ye sab kuchh hai pās-e-vafā tum se varna

satāte ho din-rāt jis tarh mujh ko kisī ġhair ko yuuñ satā kar to dekho

agarche kisī baat par vo ḳhafā haiñ to achchhā yahī hai tum apnī kar lo

vo maane na maane ye marzī hai un magar un ko 'purnam' manā kar to dekho

tumhein dil-lagi bhul jaani paDegi mohabbat ki rahon mein aa kar to dekho

taDapne se mere na phir tum hansoge kabhi dil kisi se laga kar to dekho

wafaon ki hum se tawaqqo' nahin hai magar ek bar aazma kar to dekho

zamane ko apna bana kar to dekha hamein bhi tum apna bana kar to dekho

KHuda ke liye chhoD do ab ye parda ki hain aaj ham-tum nahin ghair koi

shab-e-wasl bhi hai hijab is qadar kyun zara ruKH se aanchal uTha kar to dekho

jafaen bahut kin bahut zulm Dhae kabhi ek nigah-e-karam is taraf bhi

hamesha hue dekh kar mujh ko barham kisi din zara muskura kar to dekho

jo ulfat mein har ek sitam hai gawara ye sab kuchh hai pas-e-wafa tum se warna

satate ho din-raat jis tarh mujh ko kisi ghair ko yun sata kar to dekho

agarche kisi baat par wo KHafa hain to achchha yahi hai tum apni si kar lo

wo mane na mane ye marzi hai un ki magar un ko 'purnam' mana kar to dekho

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Rahat Fateh Ali Khan

Rahat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Source :
  • Book : Phool Dekhe Na Gaye (Pg. 125)
  • Author : Purnam Allahabadi
  • Publication : Alhamd Publisher, Lahaur

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now