tu ne ye kya ghazab kiya zabt se kaam le liya
tū ne ye kyā ġhazab kiyā zabt se kaam le liyā
tark-e-vafā ke ba.ad bhī merā salām le liyā
rind-e-ḳharāb-nosh kī bāda-kashī to dekhiye
niyyat-e-mai-kashī na kī haath meñ jaam le liyā
nāma-e-shauq paḌh ke vo kho ga.e yak-ba-yak 'shakīl'
muñh se to kuchh kahā nahīñ dil se payām le liyā
tu ne ye kya ghazab kiya zabt se kaam le liya
tark-e-wafa ke baad bhi mera salam le liya
rind-e-KHarab-nosh ki baada-kashi to dekhiye
niyyat-e-mai-kashi na ki hath mein jam le liya
nama-e-shauq paDh ke wo kho gae yak-ba-yak 'shakil'
munh se to kuchh kaha nahin dil se payam le liya
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 289)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.