unki taraf se tark-e-mulaqat ho gai
un kī taraf se tark-e-mulāqāt ho ga.ī
ham jis se Dar rahe the vahī baat ho ga.ī
ā.īna dekhne meñ na.ī baat ho ga.ī
un se hī aaj un kī mulāqāt ho ga.ī
tai un se roz-e-hashr mulāqāt ho ga.ī
itnī sī baat kitnī baḌī baat ho ga.ī
kam-zarfī-e-hayāt se tañg aa gayā thā maiñ
achchhā huā qazā se mulāqāt ho ga.ī
din meñ bhaTak rahe haiñ jo manzil kī raah se
ye log kyā kareñge agar raat ho ga.ī
aa.e haiñ vo marīz-e-mohabbat ko dekh kar
aañsū batā rahe haiñ koī baat ho ga.ī
thā aur kaun pūchhne vaalā marīz kā
tum aa ga.e to pursish-e-hālāt ho ga.ī
ai bulbul-e-bahār-e-chaman apnī ḳhair maañg
sayyād-o-bāġhbāñ meñ mulāqāt ho ga.ī
jab zulf yaad aa ga.ī yuuñ ashk bah ga.e
jaise añdherī raat meñ barsāt ho ga.ī
gulshan kā hosh ahl-e-junūñ ko bhalā kahāñ
sahrā meñ paḌ rahe to basar raat ho ga.ī
dar-parda bazm-e-ġhair meñ donoñ kī guftugū
uTThī udhar nigāh idhar baat ho ga.ī
kab tak 'qamar' ho shaam ke va.ade kā intizār
sūraj chhupā charāġh jale raat ho ga.ī
un ki taraf se tark-e-mulaqat ho gai
hum jis se Dar rahe the wahi baat ho gai
aaina dekhne mein nai baat ho gai
un se hi aaj un ki mulaqat ho gai
tai un se roz-e-hashr mulaqat ho gai
itni si baat kitni baDi baat ho gai
kam-zarfi-e-hayat se tang aa gaya tha main
achchha hua qaza se mulaqat ho gai
din mein bhaTak rahe hain jo manzil ki rah se
ye log kya karenge agar raat ho gai
aae hain wo mariz-e-mohabbat ko dekh kar
aansu bata rahe hain koi baat ho gai
tha aur kaun puchhne wala mariz ka
tum aa gae to pursish-e-haalat ho gai
ai bulbul-e-bahaar-e-chaman apni KHair mang
sayyaad-o-baghban mein mulaqat ho gai
jab zulf yaad aa gai yun ashk bah gae
jaise andheri raat mein barsat ho gai
gulshan ka hosh ahl-e-junun ko bhala kahan
sahra mein paD rahe to basar raat ho gai
dar-parda bazm-e-ghair mein donon ki guftugu
uTThi udhar nigah idhar baat ho gai
kab tak 'qamar' ho sham ke wade ka intizar
suraj chhupa charagh jale raat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.