kisi dardmand ke kaam aa kisi Dubte ko uchhaal de
kisī dardmand ke kaam aa kisī Dūbte ko uchhāl de
ye nigāh-e-mast kī mastiyāñ kisī bad-nasīb pe Daal de
mujhe masjidoñ kī ḳhabar nahīñ mujhe mandiroñ kā pata nahīñ
mirī 'ājizī ko qubūl kar mujhe aur dard-o-malāl de
ye mai-kahsī kā ġhurūr hai ye mere dil kā surūr hai
mere mai-kada ko davām ho mere sāqiyoñ ko jamāl de
maiñ tire visāl ko kyā karūñ merī vahshatoñ kī ye maut hai
ho tirā junūñ mujhe pur-'atā mujhe jannatoñ se nikāl de
kisi dardmand ke kaam aa kisi Dubte ko uchhaal de
ye nigah-e-mast ki mastiyan kisi bad-nasib pe Dal de
mujhe masjidon ki KHabar nahin mujhe mandiron ka pata nahin
meri 'ajizi ko qubul kar mujhe aur dard-o-malal de
ye mai-kahsi ka ghurur hai ye mere dil ka surur hai
mere mai-kada ko dawam ho mere saqiyon ko jamal de
main tere visal ko kya karun meri wahshaton ki ye maut hai
ho tera junun mujhe pur-'ata mujhe jannaton se nikal de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.