shab-e-firaq ki yaro koi sahar bhi hai
shab-e-firāq kī yaaro koī sahar bhī hai
hamāre haal kī un ko koī ḳhabar bhī hai
jo dil kī baat samajh le faqat nigāhoñ se
tamām shahr meñ aisī koī nazar bhī hai
har ek shaḳhs ko da'ava hai pārsā.ī kā
sabhī farishte haiñ yaaro koī bashar bhī hai
maiñ us se tark-e-ta.alluq hī kī du'ā kar luuñ
savāl ye ki du'ā meñ koī asar bhī hai
shab-e-firaq ki yaro koi sahar bhi hai
hamare haal ki un ko koi KHabar bhi hai
jo dil ki baat samajh le faqat nigahon se
tamam shahr mein aisi koi nazar bhi hai
har ek shaKHs ko da'awa hai parsai ka
sabhi farishte hain yaro koi bashar bhi hai
main us se tark-e-talluq hi ki du'a kar lun
sawal ye ki du'a mein koi asar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.