kya jaane kya arman le kar hum teri gali mein aa nikle
kyā jaane kyā armāñ le kar
ham terī galī meñ aa nikle
tinke kuchh apne nasheman ke
kuchh kaliyāñ tere gulshan kī
jo kuchh bhī milā sāmāñ le kar
ham terī galī meñ aa nikle
tere sāmne nazreñ guzārne ko
ham be-sar-o-sāmāñ kyā laate
kāñToñ se bharā dāmāñ le kar
ham terī galī meñ aa nikle
phir diid kī hasrat jaag uThī
phir dīda-o-dil be-tāb hue
phir ārzuoñ kā jahāñ le kar
ham terī galī meñ aa nikle
ab tāb-e-nazar hai na tāb-e-suḳhan
tā'zīr na kho deñ dār-o-rasan
bas dīda-o-dil hairāñ le kar
ham terī galī meñ aa nikle
hai kis ko yahāñ kashtī kī ḳhabar
ab kaun kare sāhil pe nazar
siine meñ ka.ī tūfāñ le kar
ham terī galī meñ aa nikle
kya jaane kya arman le kar
hum teri gali mein aa nikle
tinke kuchh apne nasheman ke
kuchh kaliyan tere gulshan ki
jo kuchh bhi mila saman le kar
hum teri gali mein aa nikle
tere samne nazren guzarne ko
hum be-sar-o-saman kya late
kanTon se bhara daman le kar
hum teri gali mein aa nikle
phir did ki hasrat jag uThi
phir dida-o-dil be-tab hue
phir aarzuon ka jahan le kar
hum teri gali mein aa nikle
ab tab-e-nazar hai na tab-e-suKHan
ta'zir na kho den dar-o-rasan
bas dida-o-dil hairan le kar
hum teri gali mein aa nikle
hai kis ko yahan kashti ki KHabar
ab kaun kare sahil pe nazar
sine mein kai tufan le kar
hum teri gali mein aa nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.