tumko dekhe hue guzre hain zamane aao
tum ko dekhe hue guzre haiñ zamāne aao
'umr-e-rafta kā koī ḳhvāb dikhāne aao
maiñ sarāboñ meñ bhaTaktā rahūñ sahrā-sahrā
tum merī pyaas ko ā.īna dikhāne aao
ajnabiyyat ne ka.ī daaġh diye haiñ dil ko
āshnā.ī kā koī zaḳhm lagāne aao
milnā chāhā to kiye tum ne bahāne kyā kyā
ab kisī roz na milne ke bahāne aao
tum ko dekhe hue guzre hain zamane aao
'umr-e-rafta ka koi KHwab dikhane aao
main sarabon mein bhaTakta rahun sahra-sahra
tum meri pyas ko aaina dikhane aao
ajnabiyyat ne kai dagh diye hain dil ko
aashnai ka koi zaKHm lagane aao
milna chaha to kiye tum ne bahane kya kya
ab kisi roz na milne ke bahane aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.