maulā-e-kul maulā-maulā
mere maulā maulā re
maulā-e-kul kar degā tū jo ik nazar
kar degā tū jo ik nazar
saare gunāh jā.eñge dhul
maulā-e-kul maulā-e-kul
maiñ be-ḳhabar tū bā-ḳhabar
jalva tirā nūr-e-sahar
kar degā tū jo ik nazar
band rāste jā.eñge khul
maulā-e-kul maulā-e-kul
be-rañg meñ har rañg tū
terī mujhe hai justujū
kar degā tū jo ik nazar
rañg 'ishq ke jā.eñge ghul
maulā-e-kul maulā-e-kul
haidariyam qalandaram mastam
banda-e-murtazā 'alī hastam
ek hī sūratiyā kī do haiñ mūratiyā
ek mohammad ek 'alī
haidariyam qalandaram mastam
banda-e-murtazā 'alī hastam
'bedam' yahī to pāñch haiñ maqsūd-e-kā.ināt
ḳhairunnisā husain-o-hasan mustafā 'alī
az mai-e-'ishq-e-shāh-e-sarmastam
banda-e-murtazā 'alī hastam
man ba-ġhair az 'alī na-dānistam
'alī-allāh az azal guftam
maulā-e-kul maulā-e-kul
mere maulā maulā re
maula-e-kul maula-maula
mere maula maula re
maula-e-kul kar dega tu jo ek nazar
kar dega tu jo ek nazar
sare gunah jaenge dhul
maula-e-kul maula-e-kul
main be-KHabar tu ba-KHabar
jalwa tera nur-e-sahar
kar dega tu jo ek nazar
band raste jaenge khul
maula-e-kul maula-e-kul
be-rang mein har rang tu
teri mujhe hai justuju
kar dega tu jo ek nazar
rang 'ishq ke jaenge ghul
maula-e-kul maula-e-kul
haidariyam qalandaram mastam
banda-e-murtaza 'ali hastam
ek hi suratiya ki do hain muratiya
ek mohammad ek 'ali
haidariyam qalandaram mastam
banda-e-murtaza 'ali hastam
'bedam' yahi to panch hain maqsud-e-kainat
KHairunnisa husain-o-hasan mustafa 'ali
az mai-e-'ishq-e-shah-e-sarmastam
banda-e-murtaza 'ali hastam
man ba-ghair az 'ali na-danistam
'ali-allah az azal guftam
maula-e-kul maula-e-kul
mere maula maula re
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.