maulā jī maulā jī maulā
hameñ bhī jalva-gāh-e-nāz tak lete chalo muusā
tumheñ ġhash aa gayā to husn-e-jānāñ kaun dekhegā
un se milne ko to kyā kahiye jigar
ḳhud se milne ko zamānā chāhiye
us husn pe maiñ hairān huā
hairān huā hairān huā
tum sar-e-hashr miloge ye sunā hai jab se
tere dīvānoñ ne ik hashr uThā rakhā hai
ye ġhamza-o-nāz kī fauj-kashī
ai dilbar tire ḳhaas adā
ye ġhamza-o-nāz kī fauj-kashī
ai dilbar tire ḳhaas adā
kyā ḳhuub tirī is ulfat meñ
miskīn se maiñ sultān huā
hairān huā hairān huā
lakḌī jal ko.elā bha.ī
ko.elā jal bhayo raakh
maiñ pāpan aisī jalī
na ko.elā bha.ī na raakh
'mansūr' ho yā 'sarmad' ho sanam
yā shamsulhaq tabrezī ho
us terī galī meñ o dilbar
har ek kā sar qurbān huā
hairān huā hairān huā
jahīñ dil piitā 'ishq dā jaam
sā dil mast-o-mast mudām
allāh haq maujūd sadā maujūd
allāh haq maujūd sadā maujūd
jahīñ dil
o maulā jahīñ dil
o sā.īñ
jahīñ dil piitā 'ishq dā jaam
sā dil mast-o-mast mudām
haq maujūd
sadā maujūd
maulā haq maujūd sadā maujūd
suulī te mansūr chaḌhāyā
anal-haq kalām
o maulā
maula ji maula ji maula
hamein bhi jalwa-gah-e-naz tak lete chalo musa
tumhein ghash aa gaya to husn-e-jaanan kaun dekhega
un se milne ko to kya kahiye jigar
KHud se milne ko zamana chahiye
us husn pe main hairan hua
hairan hua hairan hua
tum sar-e-hashr miloge ye suna hai jab se
tere diwanon ne ek hashr uTha rakha hai
ye ghamza-o-naz ki fauj-kashi
ai dilbar tere KHas ada
ye ghamza-o-naz ki fauj-kashi
ai dilbar tere KHas ada
kya KHub teri is ulfat mein
miskin se main sultan hua
hairan hua hairan hua
lakDi jal koela bhai
koela jal bhayo rakh
main papan aisi jali
na koela bhai na rakh
'mansur' ho ya 'sarmad' ho sanam
ya shamsulhaq tabrezi ho
us teri gali mein o dilbar
har ek ka sar qurban hua
hairan hua hairan hua
jahin dil pita 'ishq da jam
sa dil mast-o-mast mudam
allah haq maujud sada maujud
allah haq maujud sada maujud
jahin dil
o maula jahin dil
o sain
jahin dil pita 'ishq da jam
sa dil mast-o-mast mudam
haq maujud
sada maujud
maula haq maujud sada maujud
suli te mansur chaDhaya
anal-haq kalam
o maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.