dekh lo shakl meri kis ka aaina hun main
dekh lo shakl merī kis kā ā.īna huuñ maiñ
yaar kī shakl hai aur yaar meñ fanā huuñ maiñ
bashar ke ruup meñ ik rāz-e-kibriyā huuñ maiñ
samajh sake na farishte ki aur kyā huuñ maiñ
maiñ vo bashar huuñ farishte kareñ jinheñ sajda
ab is se aage ḳhudā jaane aur kyā huuñ maiñ
pata lagā.e koī kyā mere pate kā pata
mere pate kā pata hai ki lāpata huuñ maiñ
mujhī ko dekh leñ ab tere dekhne vaale
tū ā.īna hai mirā terā ā.īna huuñ maiñ
maiñ miT gayā huuñ to phir kis kā naam hai 'bedam'
vo mil ga.e haiñ to phir kis ko DhūñDtā huuñ maiñ
dekh lo shakl meri kis ka aaina hun main
yar ki shakl hai aur yar mein fana hun main
bashar ke rup mein ek raaz-e-kibriya hun main
samajh sake na farishte ki aur kya hun main
main wo bashar hun farishte karen jinhen sajda
ab is se aage KHuda jaane aur kya hun main
pata lagae koi kya mere pate ka pata
mere pate ka pata hai ki lapata hun main
mujhi ko dekh len ab tere dekhne wale
tu aaina hai mera tera aaina hun main
main miT gaya hun to phir kis ka nam hai 'bedam'
wo mil gae hain to phir kis ko DhunDta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.