dil kis se lagaun koi dilbar nahin milta
dil kis se lagā.ūñ koī dilbar nahīñ miltā
mā'shūq koī ġhair sitam-gar nahīñ miltā
gum jab se huā huuñ maiñ tirī chāh-talabī meñ
DhūñDā kyā maiñ aap se aksar nahīñ miltā
surma nahīñ miltā tirī sūrat se kisī kī
gahne se kisī ke tirā zevar nahīñ miltā
abrū kī mohabbat se kise ziist hai 'manzūr'
mar jā.ūñ galā kaaT ke ḳhanjar nahīñ miltā
dil kis se lagaun koi dilbar nahin milta
ma'shuq koi ghair sitam-gar nahin milta
gum jab se hua hun main teri chah-talabi mein
DhunDa kya main aap se aksar nahin milta
surma nahin milta teri surat se kisi ki
gahne se kisi ke tera zewar nahin milta
abru ki mohabbat se kise zist hai 'manzur'
mar jaun gala kaT ke KHanjar nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.