dupaTTe se chhupa lete ho kyun tum ru-e-raushan ko
dupaTTe se chhupā lete ho kyuuñ tum rū-e-raushan ko
nazar kab hai burī merī jo lag jā.egī joban ko
na jaanā saath ġhairoñ ke kabhī tum sair-e-gulshan ko
bachā.e ḳhaar se rahnā mirī jaañ apne dāman ko
jahāñ dekho nazar aatā hai misl-e-sāya saath un ke
ilāhī maut bhī aatī nahīñ hai mere dushman ko
tamannā hai ye hī yā-rab marūñ maiñ yaar ke dar par
dar-e-dildār par thoḌī jagah mil jaa.e madfan ko
dupaTTe se chhupa lete ho kyun tum ru-e-raushan ko
nazar kab hai buri meri jo lag jaegi joban ko
na jaana sath ghairon ke kabhi tum sair-e-gulshan ko
bachae KHar se rahna meri jaan apne daman ko
jahan dekho nazar aata hai misl-e-saya sath un ke
ilahi maut bhi aati nahin hai mere dushman ko
tamanna hai ye hi ya-rab marun main yar ke dar par
dar-e-dildar par thoDi jagah mil jae madfan ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.