satao hum ko na tum par nisar hum bhi hain
satāo ham ko na tum par nisār ham bhī haiñ
nigāh-e-lutf ke umīd-vār ham bhī haiñ
jo dil ke zaḳhmoñ ko dikhlāyā bulbul-e-nāshād
to gul ye kahte haiñ sīna-figār ham bhī haiñ
baġhair bosa liye dil na deñge yaad rahe
ki chaal baaz ho tum hoshiyār ham bhī haiñ
ham un se dab ke mileñge kabhī na ai 'āsif'
vo shāh-e-husn sahī shahryār ham bhī haiñ
satao hum ko na tum par nisar hum bhi hain
nigah-e-lutf ke umid-war hum bhi hain
jo dil ke zaKHmon ko dikhlaya bulbul-e-nashad
to gul ye kahte hain sina-figar hum bhi hain
baghair bosa liye dil na denge yaad rahe
ki chaal baz ho tum hoshiyar hum bhi hain
hum un se dab ke milenge kabhi na ai 'asif'
wo shah-e-husn sahi shahryar hum bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.