usi ko mila hai KHuda chupke-chupke
usī ko milā hai ḳhudā chupke-chupke
jo karatā hai āh-o-bukā chupke-chupke
jo kar de fanā is baqā zāhirī meñ
to ho jaa.e vasl-e-ḳhudā chupke-chupke
jo hai merī hājat-dilī jald us ko
ilāhī tu karde ravā chupke-chupke
gunāheñ jo karte haiñ poshīda sab se
sazā un ko degā ḳhudā chupke-chupke
kul ummat kī ḳhātir namāzoñ meñ haq se
du'ā karte the mustafā chupke-chupke
usi ko mila hai KHuda chupke-chupke
jo karata hai aah-o-buka chupke-chupke
jo kar de fana is baqa zahiri mein
to ho jae wasl-e-KHuda chupke-chupke
jo hai meri hajat-dili jald us ko
ilahi tu karde rawa chupke-chupke
gunahen jo karte hain poshida sab se
saza un ko dega KHuda chupke-chupke
kul ummat ki KHatir namazon mein haq se
du'a karte the mustafa chupke-chupke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.