saghar ki hawas murshid-e-mai-KHana nahin hai
sāġhar kī havas murshid-e-mai-ḳhāna nahīñ hai
chullū hī se pī leñge jo paimāna nahīñ hai
achchhā na sahī garmī-e-mai-ḳhāna nahīñ hai
saaqī ye tirī nargis-e-mastāna nahīñ hai
us soḳhta-qismat ko lagī aag ilāhī
jo sham' ruḳh-e-yār kā parvāna nahīñ hai
mumkin nahīñ ġhāfil ho tirī yaad se lailā
majnūñ tirā hushiyār hai dīvāna nahīñ hai
sunte ho agar tum to jigar thaam ke baiTho
dard-e-dil-e-'aḳhtar' hai ye afsāna nahīñ hai
saghar ki hawas murshid-e-mai-KHana nahin hai
chullu hi se pi lenge jo paimana nahin hai
achchha na sahi garmi-e-mai-KHana nahin hai
saqi ye teri nargis-e-mastana nahin hai
us soKHta-qismat ko lagi aag ilahi
jo sham' ruKH-e-yar ka parwana nahin hai
mumkin nahin ghafil ho teri yaad se laila
majnun tera hushiyar hai diwana nahin hai
sunte ho agar tum to jigar tham ke baiTho
dard-e-dil-e-'aKHtar' hai ye afsana nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.