husn jab tamassul ki jaanib tegh-e-burran le chala
husn jab tamassul kī jānib teġh-e-burrāñ le chalā
'ishq apne mujrmoñ ko pā-ba-jaulāñ le chalā
bismiloñ ko zaḳhm zaḳhmoñ ko mubārak lazzateñ
sū-e-maqtal phir koī teġh-o-namak-dāñ le chalā
chhuT gayā dāman kaleja thaam kar ham rah ga.e
le chalā dil chhīn kar vo dushman-e-jāñ le chalā
mere ghar tak paañv pakḌā un ko laayā thā nayā
nāz-e-dāman khīñchtā sū-e-raqībāñ le chalā
uf rī matvālī javānī kuchh ḳhabar tujh ko nahīñ
sāġhar-e-mai bosa-e-lab-hā-e-jānañ le chalā
bahr naat nāvik afgan āfrīñ sad āfrīñ
dil kā dil zaḳhmī kiyā paikāñ kā paikāñ le chalā
dil ko jānāñ se 'hasan' samjhā bujhā kar laa.e the
dil hameñ samjhā bujhā kar sū-e-jānāñ le chalā
husn jab tamassul ki jaanib tegh-e-burran le chala
'ishq apne mujrmon ko pa-ba-jaulan le chala
bismilon ko zaKHm zaKHmon ko mubarak lazzaten
su-e-maqtal phir koi tegh-o-namak-dan le chala
chhuT gaya daman kaleja tham kar hum rah gae
le chala dil chhin kar wo dushman-e-jaan le chala
mere ghar tak panw pakDa un ko laya tha naya
naz-e-daman khinchta su-e-raqiban le chala
uf ri matwali jawani kuchh KHabar tujh ko nahin
saghar-e-mai bosa-e-lab-ha-e-jaanan le chala
bahr nat nawik afgan aafrin sad aafrin
dil ka dil zaKHmi kiya paikan ka paikan le chala
dil ko jaanan se 'hasan' samjha bujha kar lae the
dil hamein samjha bujha kar su-e-jaanan le chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.