mad-mastī shabāb fikr-e-māl kyā
aise meñ sūjhtā hai harām-o-halāl kyā
ho aa.e to hazrat-e-zāda ye jāniye
jannat kā haal kyā hai jahannam kā haal kyā
patthar ke but ko laakh banā.e koī hasīñ
jab jaan hī nahīñ hai to husn-o-jamāl kyā
dil māñgte nahīñ hameñ muhtāj jaan kar
sach hai faqīr se kare koi savāl kyā
mad-masti shabab fikr-e-mal kya
aise mein sujhta hai haram-o-halal kya
ho aae to hazrat-e-zada ye jaaniye
jannat ka haal kya hai jahannam ka haal kya
patthar ke but ko lakh banae koi hasin
jab jaan hi nahin hai to husn-o-jamal kya
dil mangte nahin hamein muhtaj jaan kar
sach hai faqir se kare koi sawal kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.