taswir-e-sham hun main soz-e-gham-e-nihan se
tasvīr-e-sham' huuñ maiñ soz-e-ġham-e-nihāñ se
merī zabāñ jalā do gar uff karūñ zamāñ se
un ke ḳhayāl ko hai kaun-o-makāñ se nafrat
har roz ik nayā dil lā.ūñ kahāñ kahāñ se
tāroñ ke lauTne ko tum ġhaur se na dekho
sadqe utar rahe haiñ tum par ye āsmāñ se
dīvāngī Thahar jā chaltā huuñ sū-e-sahrā
mil-mil ke ro to leñ ham har gosha-o-makāñ se
taswir-e-sham' hun main soz-e-gham-e-nihan se
meri zaban jala do gar uff karun zaman se
un ke KHayal ko hai kaun-o-makan se nafrat
har roz ek naya dil laun kahan kahan se
taron ke lauTne ko tum ghaur se na dekho
sadqe utar rahe hain tum par ye aasman se
diwangi Thahar ja chalta hun su-e-sahra
mil-mil ke ro to len hum har gosha-o-makan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.