tum KHafa ho hum gale se lagae kaun
tum ḳhafā ho ham gale se lagā.e kaun
farmā.iye to dil kī lagī bujhā.e kaun
vo naaz se zamīñ par rakhte nahīñ qadam
qahar-e-shahīd-e-nāz ko Thokar lagā.e kaun
'āshiq samajh ke karte haiñ nāzuk mizājiyāñ
jo ham na hoñ to tumhāre naaz uThā.e kaun
shām-e-shab-e-firāq meñ bas ham to mar chuke
sub.h-e-shab-e-visāl kī naubat bajā.e kaun
tum KHafa ho hum gale se lagae kaun
farmaiye to dil ki lagi bujhae kaun
wo naz se zamin par rakhte nahin qadam
qahar-e-shahid-e-naz ko Thokar lagae kaun
'ashiq samajh ke karte hain nazuk mizajiyan
jo hum na hon to tumhaare naz uThae kaun
sham-e-shab-e-firaq mein bas hum to mar chuke
subh-e-shab-e-visal ki naubat bajae kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.