sar mein sauda kis ne zulf-e-mu’ambar rakh diya
sar meñ saudā kis ne zulf-e-mu’ambar rakh diyā
kyā hai bojh tū ne kaisā mujh par rakh diyā
muntazir huuñ maiñ qayāmat kā ilāhī bhej de
aaj vā’da-e-vasl kā us but ne kal par rakh diyā
kyā gumāñ thā mere jī uThne kā bā’d-e-marg bhī
kyuuñ dobāra halq par zālim ne ḳhanjar rakh diyā
zulm se tauba na kar terī jafā meñ lutf hai
naam kyā jaane terā kis ne sitamgar rakh diyā
baa'd murdan mil chukā hamdam Thikānā gor nā kā
vahshiyoñ ne ḳhaak ko merī huā par rakh diyā
gar rukāvaT kuchh na thī dil meñ mere jallād ke
kyuuñ uThā kar haath se zālim ne ḳhanjar rakh diyā
dekh kar vo mast-e-chashm-e-nāz saaqī haath se
maiñ ne miinā rakh diyā miinā ne sāġhar rakh diyā
sar mein sauda kis ne zulf-e-mu’ambar rakh diya
kya hai bojh tu ne kaisa mujh par rakh diya
muntazir hun main qayamat ka ilahi bhej de
aaj wa’da-e-wasl ka us but ne kal par rakh diya
kya guman tha mere ji uThne ka ba’d-e-marg bhi
kyun dobara halq par zalim ne KHanjar rakh diya
zulm se tauba na kar teri jafa mein lutf hai
nam kya jaane tera kis ne sitamgar rakh diya
ba'd murdan mil chuka hamdam Thikana gor na ka
wahshiyon ne KHak ko meri hua par rakh diya
gar rukawaT kuchh na thi dil mein mere jallad ke
kyun uTha kar hath se zalim ne KHanjar rakh diya
dekh kar wo mast-e-chashm-e-naz saqi hath se
main ne mina rakh diya mina ne saghar rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.