kuchh aap hi aap wahshat mein dil diwana aata hai
kuchh aap hī aap vahshat meñ dil dīvāna aatā hai
mujhe jis dam ḳhayāl-e-nargis-e-mastāna aatā hai
lagāvaT mujh se va'ada ġhair se jaanā kisī ke ghar
but-e-yār ko dekho to kyā raana aatā hai
banā kar to vo ġham kiije sitam-rānī
ye dil phir aap kī jānib ko mushtāqāna aatā hai
raqīb-e-rū-siyah se bhī to bigḌo zulf kī sūrat
agar tum ko mirī jaañ nāz-e-mā'shūqāna aatā hai
ḳhud-rā.ī-e-shab-e-vasl balā-e-jān 'āshiq hai
sahar kar dete haiñ vo haath meñ jab shaah aatā hai
parī-zād do jagah 'asġhar' ko denā apne pahlū meñ
vo mahfil meñ tumhārī aaj be-tābāna aatā hai
kuchh aap hi aap wahshat mein dil diwana aata hai
mujhe jis dam KHayal-e-nargis-e-mastana aata hai
lagawaT mujh se wa'ada ghair se jaana kisi ke ghar
but-e-yar ko dekho to kya rana aata hai
bana kar to wo gham kije sitam-rani
ye dil phir aap ki jaanib ko mushtaqana aata hai
raqib-e-ru-siyah se bhi to bigDo zulf ki surat
agar tum ko meri jaan naz-e-ma'shuqana aata hai
KHud-rai-e-shab-e-wasl bala-e-jaan 'ashiq hai
sahar kar dete hain wo hath mein jab shah aata hai
pari-zad do jagah 'asghar' ko dena apne pahlu mein
wo mahfil mein tumhaari aaj be-tabana aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.